
Band kamre ki Khamoshi thi,
khyalon main koi chehra kahn tha......
lab pe koi naam nahi,
deewaron main saara jahn tha................
Achanak!
Mano Darwazein par kisi ne dastak di,
ya sunne main shyd kuch kami thi......
apne ko sambhal na payen hum,
bas!darwazein par nazarein zaamin thi.......
dhadkane badne lagi soch kar,
ki kisne hame yaad kiya............
kya gunah hamne anjaam diya,
ki mere liye fariyaad kiya...........
zaamin hui kadmo ko hamne uthaya,
kaampti hatheli ko hamne samjhaya......
phr nazaron ko thoda behla kar,
dagebaj ungliyon ko aage badhaya...........
darwaze ke pichhe dekhne ko ,
abhi meri nazarein badhi hin thi..........
par koi kahn tha wahn,
bas khamoshi hin khadi thi ............
hawaon ki is sararat se ,
dil phr mand ho gaya...........
ek baar phr se zee tuta,
darwaza phr se band ho gaya...........

1 comment:
lovely..... just awesome.....
Post a Comment