Sunday, December 14, 2008

"tum Hin Ho"


Har Lamha Ho,
har jhokon main gum ho.............
us hawa ki baat hin kya,
jiski khusboo tum ho..................

kya byaa karen apko,
apko kya alphaj de............
jo khud noor ho,
unhe kya hum taj de...........

"" Darwaza""




Band kamre ki Khamoshi thi,
khyalon main koi chehra kahn tha......
lab pe koi naam nahi,
deewaron main saara jahn tha................


Achanak!
Mano Darwazein par kisi ne dastak di,
ya sunne main shyd kuch kami thi......
apne ko sambhal na payen hum,
bas!darwazein par nazarein zaamin thi.......


dhadkane badne lagi soch kar,
ki kisne hame yaad kiya............
kya gunah hamne anjaam diya,
ki mere liye fariyaad kiya...........


zaamin hui kadmo ko hamne uthaya,
kaampti hatheli ko hamne samjhaya......
phr nazaron ko thoda behla kar,
dagebaj ungliyon ko aage badhaya...........


darwaze ke pichhe dekhne ko ,
abhi meri nazarein badhi hin thi..........
par koi kahn tha wahn,
bas khamoshi hin khadi thi ............


hawaon ki is sararat se ,
dil phr mand ho gaya...........
ek baar phr se zee tuta,
darwaza phr se band ho gaya...........

"Parinda"



koi khwahisen kahn thi,
koi sapna kahn tha ...............
chand palon ka mohtaj ,uska sara jahn tha............
jab khusiyon ne di dastak aur jab savera chaya,
itefaq un hai ki ,,, woh parinda kahn tha !!!!!!

Saturday, December 13, 2008

"ye panne"




adhura mehsus karna ,
koi itefaq nai meri jindagi ki ...............
khwabon ka jalna ,
koi itefaq nai meri jindagi ki ...............


itefaq to yeh hai ki,
jisse chhora usne hin sath diya hai ...........
maauss hokar jab bhi gira,
in panno ne hin hanth diya hai ......................

meri har nazar ,har muskurahat,
is humdum ko kurban hai.........
inhi kandhon ke badaulat hai ki,
meri har yaadein jawan hai........


sallam hai is dariyadil ko,
ki har dard main yaad kiya hai........
har aashkon ko dilasha diya,
jab bhi kisi ne barbaad kiya hai........

"AAhat"


kahin se teri aahat ayi,
Baitha Hua woh disha dhundta hun
Is Khamosh nazare main,
tere hone ki nisha dhundta hun

Tuesday, December 9, 2008

"Ek Pyar ki kahani ,Aur yeh aJ ki rAat"......"Ek taNha pariNde ki ...ek Dali Se MUlaQAt"




ye kahani ....shyd kabhi likhi na jati.....par jasbat har waqt sath nai dete....khair.....yeh kahani hai ek "panchi" ki jo Jindagi ke talash Main har Waqt btakti Rehti hai....Par koi na Hota hai uske sath....ek barsat ki raat uski ek Daali se mulaqat hoti hai..Aur use us daali se pyar Ho jata hai..
Khair Jindagi Ko Kuch Aur Hin Manjur tha..Daali aj bejaan hai ...aur phr se barish ho rahi hai ....aur us Panchi ki yaadein phr se chalak jatin hain ...




main Panchi is jag ki,har disha mandraya karti thi....
kisi upwan ki talash main,duniya bhar ghum aya karti thi ......




par Us Din......
rimjhim barsaat ki bundon ki,kuch alag hin baat thi .....
yeh ek tanha parinde ki iik daali se ajab mulaqat thi.....



us humdum daal ne mujhe paatto ke agosh main sula diya...
pyar ki tinke si abha ne...meri har thakan bhula diya.....


kitni yaadein hain ,na jane sath gayen kitne geet hai ...
par har kahani ke pichhe duniya ki alag reet hai...

ajj,woh saakh bejaan hai,phr bhi is par khud ko apna pati hun main ...
shyd yehi wajah hai ki ...har savere is daali pe ati hun main .......

mausam badal jaten hain , par rang nai dhalte..................
kabhi kisi ke jane se jasbaat nai badaltein .........


pehle bhi ye man teri geet sunne ko tarasta tha,
aj bhi behisab taras rahi hain ...........
teri baaton se pehle bhi dil aagaj ho uthta tha,
aur aj bhi ye dil saras rahi hain......
aaj nazara kitna dilkas hai,
pehle bhi yeh kitni dilkash rahi hain ......
pehle bhi kabhi barsaat hui thi,
aur aaj phr se bundein baras rahin hain...

aaj phr se bundein baras rahin hain !!!!